patthar ke khuda patthar ke sanam patthar ke hi insan pae hain tum shahr-e-mohabbat kahte ho hum jaan bacha kar aae hain but-khana samajhte ho jis ko puchho na wahan kya haalat hai hum log wahin se laute hain bas shukr karo laut aae hain hum soch rahe hain muddat se ab umr guzaren bhi to kahan sahra mein khushi ke phul nahin shahron mein ghamon ke sae hain honton pe tabassum halka sa aankhon mein nami si hai 'fakir' hum ahl-e-mohabbat par aksar aise bhi zamane aae hain