hama-girya silk-e-shabnam hama-ashk bazm-e-anjum jo na gul bhi muskurae to kahan rahe tabassum na khata meri nazar ki na gunah tere karam ka ki nasib-e-ashiqan hai ye shikast-e-be-tasadum thi bhari bahaar lekin gul-o-bu-e-gul ne samjha nigah-e-chaman se chhup kar jo kabhi mile hain hum tum kahin barq jagmagai kahin phul muskurae jo tere labon ko chhukar hua muntashir tabassum koi rah hai mohabbat to hujum hai jawani kahin panw dagmagae kahin zindagi hui gum jise gham se kuchh mila hai wahi ham-nafas hai mera jo shikasta saz-e-dil ho to suno mera tarannum ye samajh lo zindagi hai safar-e-hazar-jada gham-e-karwan se chhute to 'nushur' kho gae tum