patthar ke ratjage meri palkon mein gaD ke

patthar ke ratjage meri palkon mein gad ke
rakh din tere firaq ne aankhen ujad ke

itni tawil apni masafat nahin magar
mushkil-mizaj hote hain raste pahad ke

aankhon se khadd-o-khal nikale na ja sake
har-chand phenk di teri taswir phad ke

ye bholpan nahin hai ki suraj ke aas-pas
rakkhe gae hain daere kanton ki bad ke

mitti mein mil gai hai tamanna milap ki
kuchh aur gir pade hain kinare darad ke

be-mehr mausamon ko nahin jaanta abhi
khush hai jo saeban se talluq bigad ke

patthar ke jism mein tujhe itna kiya talash
'mansur' dher lag gae ghar mein kabad ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close