manzil-e-jaan KHud bichhati ja rahi hai rasta

manzil-e-jaan khud bichhati ja rahi hai rasta
jip jangal mein banati ja rahi hai rasta

ek na-mumkin pahadi rafta rafta hath se
mere panw mein giraati ja rahi hai rasta

sochta hun meri hasti ki ye pathrili sadak
jangalon se kyon milati ja rahi hai rasta

sath us ke sal bhar se chal raha hun road par
apne ghar ka kyon badhati ja rahi hai rasta

pichhe pichhe panw uthte ja rahe hain ishq mein
aage aage wo batati ja rahi hai rasta

rah banata ja raha hun dasht mein 'mansur' main
waqt ki aandhi udati ja rahi hai rasta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close