patthar mein fan ke phul khila kar chala gaya kaise amit nuqush koi chhodta gaya simta tera khayal to gul-rang ashk tha phaila to misl-e-dasht-e-wafa phailta gaya sochon ki gunj thi ki qayamat ki gunj thi tera sukut hashr ke manzar dikha gaya ya teri aarzu mujhe le aai is taraf ya mera shauq rah mein sahra bichha gaya wo jis ko bhulne ka tasawwur muhaal tha wo ahd rafta rafta mujhe bhulta gaya jab us ko pas-e-khatir-e-azurdagan nahin mud mud ke kyun wo dur talak dekhta gaya