lafz se jab na utha bar-e-khayal kaise kaise kiya izhaar-e-khayal dil mein jab dard ki qindil jali tamtamane lage rukhsar-e-khayal ruh ke zakhm na murjhaen kabhi ta-abad mahke chaman-zar-e-khayal gham pe mauquf hai tasir-e-bayan gham se hai raunaq-e-bazar-e-khayal rakib-e-fahm hai be-bas 'taib' aur munh-zor hai rahwar-e-khayal