patthar mujhe sharminda-e-guftar na kar de uncha meri aawaz ko diwar na kar de majbur-e-sukhan karta hai kyun mujh ko zamana lahja mere jazbaat ka izhaar na kar de zanjir samajh kar mujhe toda to hai tu ne ab tujh ko pareshan meri jhankar na kar de chalta hun to padte hain qadam mere hawa par darta hun hawa chalne se inkar na kar de rah jaun na main apne hi qadmon se kuchal kar pamal mujhe khud meri raftar na kar de main khud ko mita kar tera shahkar bana hun nilam mujhe tu sar-e-bazar na kar de har sans nae zakhm lagati hai 'muzaffar' tukde mere ek roz ye talwar na kar de