taqdir-e-wafa ka phut jaana main bhula na dil ka tut jaana kya deta rahega dil pe dastak ek jumla jo main ne jhut jaana ek surat utarna ghazal mein lafzon ka pasina chhut jaana kya roun tujhe ai dhyan-darpan pal bhar mein hai tujh ko tut jaana kis darja surur-bakhsh tha wo us kuche mein jhut-mut jaana ruk jaega sath dhadkanon ke khamoshi ka tut-phut jaana wo aana kisi ka dil mein 'raghib' aur sabr-o-qarar lut jaana