patthar na koi dhul na kanta dikhai de ye haalat-e-junun bhi tamasha dikhai de hum ne nishan-e-qabr ko aaina kar diya shayad kisi ko waqt ka chehra dikhai de aisa na ho ki shauq se mahrum hi rahen jo kuchh hamari aankh ne dekha dikhai de ho kar bhi kuchh nahin hun agar hun to ai khuda mujh ko mere wajud ka hona dikhai de mana ki dubte ko sahaara bahut hai ye ubhrun kisi bhi taur to tinka dikhai de akhtar chakor dil ke mere mahw-e-raqs hain ek mahtab jhil mein utra dikhai de