dua kije wo bargad aur bhi phule-phale barson ki jis ki chhanw mein hum aap se milte rahe barson koi jugnu bhatakta aa gaya to aa gaya warna charagh-e-qabr ban kar hum akele hi jale barson ye sang-e-mil bhi pahle koi bhatka musafir tha jise apni hi manzil dhundne mein lag gae barson ye sar jo kat kar tange gae hain in fasilon par isi aatish-bayani se rahenge bolte barson ajab si mausami fitrat hai apne dewtaon ki nahin pahchante wo hum jinhen puja kiye barson na tum hoge na hum honge na apni mahfilen 'panchhi' khala mein gunjte rah jaenge ye qahqahe barson