patthar pani ho jate hain log kahani ho jate hain nae nae chehre wale bhi baat purani ho jate hain ishq ki rut mein sare bhikari raja-rani ho jate hain sham samay lau ke jhonke bhi pawan suhani ho jate hain sukh ka mausam jab aata hai jism bhi pani ho jate hain sukhe patte gai ruton ke nai nishani ho jate hain hum to us ki baaten sun kar pani pani ho jate hain