wo pas hai tere dur nahin tu wasil hai mahjur nahin

wo pas hai tere dur nahin tu wasil hai mahjur nahin
kyun habl-e-murkkab mein hai phansa mukhtar hai tu majbur nahin

sargarm-e-shauq-o-huzur nahin dil sard hai tu mahrur nahin
jis qalb mein ishq ka nur nahin wo tab-e-jalwa-e-tur nahin

har rang mein hai wo jalwa-numa tu ek hijab mein ja ke chhapa
kyun kor sawad hua hai bata kya aankhon mein tere nur nahin

jo ishq mein bar-sar-e-dar hua sardar wahi sarshaar hua
sarmast visal-e-yar hua kis tarah kahen mansur nahin

jo baatin mein mashghul hue mahbub hue maqbul hue
majhul hue maruf kahan mashhur jo hain manzur nahin

kyun mahw-e-sar-e-pindar hua ai musht-e-khak hai naqsh-e-fana
duniya mein kahan hai rang-e-baqa jamshed nahin maghfur nahin

mastur jo tha manzur hua wo jalwa-e-rang-e-zuhur hua
jo hijab tha rukh se dur hua mushtaq-laqa mahjur nahin

jo aap hua benam-o-nishan us ko hai mila wo jaan-e-jahan
meraj-e-visal hai us ko kahan jo ishq mein chakna-chur nahin

main tera fida-e-sarapa hun main talib-e-wasl-e-muarra hun
mushtaq-o-shaida tera hun main talib-e-hur-o-qusur nahin

makhmur-e-jam-e-baqi hai shaida-e-nawa-e-iraqi hai
sarshaar-e-mohabbat 'saqi' hai sar-mast hai ye mastur nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close