pattharon mein aaina maujud hai yani mujh mein dusra maujud hai zamzama-paira koi to hai yahan sehn-e-gulshan mein hawa maujud hai khwab ho kar rah gaya apne liye jag uthne ki saza maujud hai ek samundar hai dil-e-ushshaq mein jis mein har mauj-e-bala maujud hai aasmani ghantiyon ke shor mein us badan ki har sada maujud hai main kitab-e-khak kholun to khule kya nahin maujud kya maujud hai jannat-e-arzi bulati hai tumhein aao 'sarwat' rasta maujud hai