Thahar Thahar ke mera intizar karta chal

thahar thahar ke mera intizar karta chal
ye sakht-rah bhi ab ikhtiyar karta chal

safar ki raat hai har gam ehtiyat barat
palat palat ke andheron pe war karta chal

liye ja kaam tu apni firakh-dasti se
qadam qadam pe mujhe zer-e-bar karta chal

idhar udhar jo khade ho gae hain tere liye
unhen bhi apne safar mein shumar karta chal

kisi thikane pe tujh ko agar pahunchna hai
to naqsh-e-pa ka mere e'tibar karta chal

na khinch dasht o jabal bahr o bar se qadmon ko
ye sab rukawaten hain in ko par karta chal


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close