paya tha kuchh sukun dil-e-dagh-dar ne zakhmon ko phir nikhaar diya hai bahaar ne phir hai tere karam ki zarurat nigah-e-dost aawaz di hai mujh ko gham-e-rozgar ne aa ja ki dil dua na kare phir firaq ki muztar bana diya hai tere intizar ne ahl-e-khirad mein koi na mansur ban saka diwangi ko aam kiya shauq-e-dar ne 'akhtar' na bujh sakegi wo sham-e-wafa kabhi bakhshi ho raushni jise parwardigar ne