qaem wajud-e-ishq se sara jahan hai dil hai to kaenat ki har shai jawan hai apne lahu se rakkhi hai buniyaad-e-zindagi hum se nizam-e-gulshan-e-hasti mein jaan hai har aaina hayat ka dhundla raha hai aaj chehron pe jaur-e-charkh ka gahra nishan hai daulat-parast hirs-o-hawas ke ghulam hain iflas ki jabin pe qanaat ki shan hai jage na kyon hayat ka pur-shauq qafila phir wadi-e-wafa mein sada-e-azan hai jis se ki tirgi ko mili hai ziya-e-nur wo aaftab sare zamane ki jaan hai jalwon ki hai numud pas-e-tur dekhna shayad nigah-e-shauq ka phir imtihan hai 'akhtar' main phir raha hun zamane mein na-murad niche zamin hai sar pe mere aasman hai