payam aae hain us yar-e-bewafa ke mujhe jise qarar na aaya kahin bhula ke mujhe judaiyan hon to aisi ki umr bhar na milen fareb do to zara silsile badha ke mujhe nashe se kam to nahin yaad-e-yar ka aalam ki le uda hai koi dosh par hawa ke mujhe main khud ko bhul chuka tha magar jahan wale udas chhod gae aaina dikha ke mujhe tumhaare baam se ab kam nahin hai rifat-e-dar jo dekhna ho to dekho nazar utha ke mujhe khinchi hui hai mere aansuon mein ek taswir 'faraaz' dekh raha hai wo muskura ke mujhe