waqt-e-rukhsat aa gaya dil phir bhi ghabraya nahin us ko hum kya khoenge jis ko kabhi paya nahin zindagi jitni bhi hai ab mustaqil sahra mein hai aur is sahra mein tera dur tak saya nahin meri qismat mein faqat durd-e-tah-e-saghar hi hai awwal-e-shab jam meri samt wo laya nahin teri aankhon ka bhi kuchh halka gulabi rang tha zehn ne mere bhi ab ke dil ko samjhaya nahin kan bhi khali hain mere aur donon hath bhi ab ke fasl-e-gul ne mujh ko phul pahnaya nahin