payambar main nahin aashiq hun jaani rahe musi hi se ye lan-tarani sulaiman hum hain ai mahbub-e-jaani samajhte hain tujhe bilqis-e-sani khula saude mein un zulfon ke mar kar pareshan khwab thi ye zindagani ye kyun aata hai un se qad-kushi ko gadi jati hai sarw-e-bostani wahi dega kabab-e-nargisi bhi jo deta hai sharab-e-arghawani ranga hai ishq ne kis dard-e-sar se hamara jama-e-tan zafrani musafir ki tarah rah khana-bar-dosh nahin jae-e-iqamat dar-e-fani tere kuche ke mushtaqon ke aage jahannam hai bahisht-e-asmani wo mai-kash hun diya hai qabla ne jise ghusl-e-sharab-e-arghawani yaqin hai dida-e-barik-bin ko kare ainak talab ye na-tawani wo khat hai yaadgar-e-husn-e-rafta wo sabza hai gulistan ki nishani nikalti munh se qasid ke nahin baat magar laya hai paigham-e-zabani ye musht-e-khak ho maqbul-e-dargah saba ki chahta hun mehrbani liye hain bosa-e-rukhsara-e-saf piya hai hum ne aaine ka pani safedi mu ki ho kafur har-chand koi mitta hai ye dagh-e-jawani na khush ho farbahi-e-tan se ghafil subuk karti hai murde ko girani mue jo peshtar marne se wo log kafan samjhe qaba-e-zindagani jalati hai dil 'atish' tur ki tarah kisi parda-nashin ki lan-tarani