piri se mera nau digar-haal hua hai wo qad jo alif sa tha so ab dal hua hai maqbul mere qaul se qawwal hua hai sufi ko ghazal sun ke meri haal hua hai un hathon ki daulat se kada mal hua hai un panw se aawaz-e-khalkhal hua hai alminnat o lillah ba-sad-minnat udhar se inkar tha jis shai ka ab iqbaal hua hai jab qatl kiya hai kisi aashiq ko to wan se jallad ki talwar ko rumal hua hai kis uqde ko is zulf ki khola nahin hum ne suljhaya hai uljha hua jo baal hua hai kis sar ko nahin yar ki raftar ka sauda mearaj wo samjha hai jo pamal hua hai bimar raha barson main isa-nafason mein puchha na kisi ne kabhi kya haal hua hai ai abr-e-karam tu hi safed us ko karega barson mein siyah nama-e-amal hua hai jo naz kare yar saza-war hai 'atish' khush-ru o khush-uslub o khush-iqbaal hua hai