pesh-e-manzar jo tamashe the pas-e-manzar bhi the hum hi the mal-e-ghanimat hum hi ghaarat-gar bhi the aastinon mein chhupa kar sanp bhi lae the log shahr ki is bhid mein kuchh log bazigar bhi the barf-manzar dhul ke baadal hawa ke qahqahe jo kabhi dahliz ke bahar the wo andar bhi the aakhir-e-shab dard ki tuti hui baisakhiyan aade-tirchhe zawiye mausam ke chehre par bhi the raat hum ne jugnuon ki sab dukanen bech din subh ko nilam karne ke liye kuchh ghar bhi the kuchh bila-unwan rishte ajnabi sargoshiyan ratjagon ke jashn mein zakhmon ke saudagar bhi the shab-paraston ke nagar mein but-parasti hi na thi wahshaten thin sang-e-marmar bhi tha karigar bhi the is kharabe mein nae mausam ki sazish thi to 'rind' lazzat-e-ehsas ke lamhon ke jalte par bhi the