hum aaj khaenge ek tir imtihan ke liye ki waqf karna hai dil naz-e-jaan-sitan ke liye jala ke dil ko lapak se daro na shole ki zaban daraaz hai lekin nahin fughan ke liye isi chaman mein ki wusat hai jis ki na-mahdud nahin panah ki ja ek aashiyan ke liye kiya tha zabt ne dawa-e-raazdari-e-ishq utha hai dard kaleje mein imtihan ke liye kisi ko dhunde na milta nazar ki chot ka nil na hota dil mein suwaida agar nishan ke liye siwa-e-dil ke jo sarmaya-e-do-alam hai na kuchh yahan ke liye hai na kuchh wahan ke liye na ishq jurm hai koi na dil ki baat hai raaz bura ho sharm ka ek qufl hai zaban ke liye khilaf apne rahi waz-e-saz-o-barg-e-chaman qafas bane hain jo tinke the aashiyan ke liye laraz rahe hain falak 'arzu' ki aah-e-rasa chali hai tegh-ba-kaf fath-e-haft-khwan ke liye