pesh-e-nazar hai naza mein naqsha-nigar ka jalwa khizan dikhati hai mujh ko bahaar ka surme se rutba kam nahin apne ghubar ka hai sang-e-tur sang hamari mazar ka hai baad-e-marg shauq hamein did-e-yar ka chilman ka haal hai kafan-e-tar-tar ka tera iqamat apni ho bagh-e-jahan mein kya aawaz ar-rahil hai nala hazar ka hai apne soz-e-dil ka dimagh aasman par partaw hai aaftab dil-e-dagh-dar ka ai jaan-e-pak kar na tan-o-tosh par ghurur hai haal-e-jism pairahan-e-mustaar ka tayyar khak-e-gor se hote hain jam-e-mai baad-e-fana bhi ranj hai mujh ko khumar ka