pesh-e-nigah jab se wo mast-e-shabab hai

pesh-e-nigah jab se wo mast-e-shabab hai
har waqt be-piye hi surur-e-sharab hai

kya puchhte ho 'ishq mein kya iztirab hai
marna agar muhaal to jina 'azab hai

wo muntakhab hasinon mein hum ‘ashiqon mein fard
un ki misal hai na hamara jawab hai

muddat ke ba'd aaj hui hai du'a qubul
muzhda ai shauq-e-did ki wo be-naqab hai

mehman-sara-e-dahr mein kis ko qiyam hai
jis ko bhi dekhiye wahi pa-dar-rikab hai

sharmate hain wo aaine mein apni shakl se
qurban is hijab ke achchha hijab hai

ya main hun ya raqib hai mahfil mein aap ki
kis ki taraf ishaara hai kis se khitab hai

jage hain bazm-e-ghair mein shayad wo raat-bhar
chehra bhi aaj sust hai aankhon mein khwab hai

fariyaad meri sun ke wo bole raqib se
shayad ye wo hi 'hajir'-e-khana-kharab hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close