sochta hun kabhi huron ka KHayal achchha hai

sochta hun kabhi huron ka khayal achchha hai
kabhi kahta hun ki us but ka jamal achchha hai

mujh se kahte hain kaho 'ishq mein haal achchha hai
chhed achchhi hai ye andaz-e-sawal achchha hai

na adaen teri achchhi na jamal achchha hai
asl mein chahne wale ka khayal achchha hai

dekh kar shakl wo aaine mein apni bole
kaun kahta hai ki huron ka jamal achchha hai

jo hunar kaam na aae to hunar phir kaisa
kaam jo waqt par aae wo kamal achchha hai

wo jawani wo ada aur wo qadd-e-mauzun
dekh kar bol utha dil bhi ki mal achchha hai

hijr mein dil ne kaha kucha-e-jaanan mein chalo
shauq kam-bakht ye bola ki khayal achchha hai

yun to 'ashiq ke liye donon wabaal-e-jaan hain
hijr se phir bhi har ek tarah visal achchha hai

aap jab hote nahin is ka to phir zikr hi kya
aap jab samne baithe hain to haal achchha hai

jalwa-afroz hon jab aap nazar ke aage
wo mahina wo ghadi aur wo sal achchha hai

us ne jab pyar se puchha ki kaho kaise ho
munh se be-sakhta ye nikla ki haal achchha hai

lutf se khali nahin jaur bhi un ka 'hajir'
jo hasinon se mila hai wo malal achchha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close