peshani-e-mohabbat jhuk jae jis zamin par

peshani-e-mohabbat jhuk jae jis zamin par
kabe ka zikr kya hai bas ho khuda wahin par

tha wahshi-e-ada ka naqsh-e-qadam yahin par
peshani-e-malak phir jhukti na kyon zamin par

ek umr marte jite guzri hai tere chalte
jab mit chala tabassum bal aa chuka jabin par

aflak par zamin hi bhaari rahi hamesha
baala-e-arsh sajid masjud tha zamin par

hon lakh hashr to bhi kam ho na us ki lazzat
donon jahan sadqe zalim teri nahin par

rahta hai yun barabar bim-o-raja ka palla
pyari hansi labon par qatil shikan jabin par

mahshar se kyon main puchhun dil se na puchh dekhun
sajde ka ye nishan hai ya dagh hai jabin par

hon lakh hashr to bhi ghatti nahin kahin par
lazzat teri nahin ki sadqe teri nahin par

is gul ke aage dil ne jannat ko dagh paya
uf zakhm ki bahaaren diwane ki jabin par

guzri hai umr 'bekhud' rote lahu ke aansu
fard-e-amal ka dhoka ho kyon na aastin par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close