sar ke baalon par sapedi ka asar baDhta gaya

sar ke baalon par sapedi ka asar badhta gaya
zulmaten chhatti gain nur-e-sahar badhta gaya

rafta rafta dil pe fitrat ka asar badhta gaya
jaise jaise din gae marne se dar badhta gaya

raaz-e-hasti khul chuka tha main tha aur masti-e-shauq
maut jis jis rukh hati main bhi udhar badhta gaya

dair-o-kaba tur-o-mahshar mein kise tha imtiyaz
tum jidhar badhte gae dil bhi udhar badhta gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close