phail raha hai ye jo khali hone ka dar mujh mein aakhir-kar simat aaega mera bahar mujh mein ro dunga to ashk nahin aankhon se ret bahegi khun kahan kuchh sukhe dariya hain sahra bhar mujh mein pahron jalta rahta hun main jaise koi suraj ek kiran jab ruk jati hai tujh se chhan kar mujh mein tu maujud hai main madum hun is ka matlab ye hai tujh mein jo napaid hai pyare wo hai mayassar mujh mein qatra thik hai dariya hone mein nuqsan bahut hai dekh to kaise dub raha hai mera lashkar mujh mein