phaila hai jal baam pe zulf-e-daraaz ka tota ude na hath se ahl-e-niyaz ka dekhi nahin hai tum ne hamari patang abhi kya nam le rahe ho hawai-jahaz ka aamad principal ki hai hoshyar ladkiyo ye waqt hai shaguftan-e-gul-ha-e-naz ka google laga ke aankh pe chalne lage hasin wo lutf ab kahan nigah-e-nim-baz ka pite nahin hain des ke sewak bides ki chukkad pilao un ko mai-khana-saz ka ai bahr-e-shauq itna talatum hai narawa mastul gir na jae khirad ke jahaz ka 'hashim' wo dekhta jo kisi teddy boy ko mahmud nam leta na hargiz ayaz ka