qadd-e-mauzun ka shajar yaad aaya aur phir us ka samar yaad aaya phir election ka hai sar mein sauda phir unhen lakht-e-jigar yaad aaya chand par jaane ka muzhda sun kar apna bhula hua ghar yaad aaya thik chaurahe pe main ja baitha jab tera waqt-e-safar yaad aaya rah mein mujh ko wo tanha jo mile jaane kyun un ka pidar yaad aaya dekh kar meri shikasta chappal un ko 'hashim' mera sar yaad aaya