phal aate hain phul tutte hain khurdon se buzurg chhutte hain khulti nahin gul ki bad-mizaji ghunche nahin munh se phutte hain karte hain yahan hasin taraj nabbash lahad mein lutte hain hota hai firaq jaan-o-tan mein buron ke milap chhutte hain ek but se moamla darpesh patthar se nasib phutte hain aaseb hain gesuwan-e-mashuq kab hum se lipat ke chhutte hain dil le ke wo jaan ke hain khwahan har pahar ke mujhi ko lutte hain har-waqt hai koft apne dil ko rah rah kar sina kutte hain khat padhta hai mera kya kahun kaun aghyar ki did se phutte hain rone-dhone se faeda 'bahr' kab sine ke dagh chhutte hain