phal darakhton se gire the aandhiyon mein thaal bhar mere hisse mein magar aae nahin rumal bhar pahle sare panchhiyon ko par milen parwaz ke phir shikari se kahe koi ki apna jal bhar mausamon ki sakhtiyan to baadalon si ud gain aaj bhi mahfuz kab hai dil ka shisha baal-bhar dhund hi chhai rahi aankhon mein tum se kya kahen ab to yaro ek sa rahta hai mausam sal-bhar dhup ki man-maniyon par muskuraate the kabhi in tanawar pedon par patte bache hain dal-bhar ek shai ka nam jo batlae us ka nam ho apni galiyon mein nahin hai mumbai si chaal bhar aur hum se kya taqaza hai tera asr-e-rawan jaan-o-tan ka nam hai bas haddiyon par khaal-bhar