nisar us par na hone se na tang aaya na aar aai mere kis kaam aakhir zindagi-e-mustaar aai yahin dekha ki ghalba ek ko hota hai lakhon par tabiat ek bar aai nadamat lakh bar aai tere dil se tere lab tak teri aankhon se mizhgan tak mohabbat be-qarar aai murawwat sharmsar aai sharab-e-ishq se karne ko tha tauba ki yar aaya mere aade ye neki kab ki ai parwardigar aai dil-e-mahzun ki aahen mast karti hain mujhe 'kaifi' ki jab li sans main ne mujh ko bu-e-zulf-e-yar aai