phal phenk ke hamsae ke ghar tang karega ek roz ye aangan ka shajar tang karega lagta tha bichhad ke main baha lungi do aansu malum na tha dida-e-tar tang karega hans kar tujhe milti hun to ye baat bhi sun le main ro bhi padungi to agar tang karega khush-fahmiyan ta-umr nahin sath nibhatin ek roz tujhe husn-e-nazar tang karega is waste tanha use jaane nahin deti jugnu ko andheron ka safar tang karega kuchh roz use dekh ke yaad aaengi chidiyan kuchh roz ye tuta hua par tang karega sab kahne ki baaten hain ye ikhlas-o-murawwat mat is pe yaqin kar wo 'qamar' tang karega