ye soch kar na phir kabhi tujh ko pukara dost dushman ka dost ho nahin sakta hamara dost hum ne kabhi rakha hi nahin hai hisab-e-ishq tu hi hamara nafa hai tu hi khasara dost aankhon ka ek hujum laga hai magar ye dil bhula na aaj tak tera pahla ishaara dost sab ko hai apni apni gharaz se gharaz yahan koi hamara dost na koi tumhaara dost jo kuchh azal se hota raha hai wahi hua hum ko bhi doston ki adawat ne mara dost chahe tu e'tiraf kare ya nahin kare 'ruhi' baghair hai nahin tera guzara dost