phenk yun patthar ki sath-e-ab bhi bojhal na ho

phenk yun patthar ki sath-e-ab bhi bojhal na ho
naqsh bhi ban jae aur dariya mein bhi halchal na ho

khol yun mutthi ki ek jugnu na nikle hath se
aankh ko aise jhapak lamha koi ojhal na ho

hai safar darpesh to parchhain ki ungli pakad
rah mein tanhai ke ehsas se pagal na ho

pahli sidhi pe qadam rakh aakhiri sidhi pe aankh
manzilon ki justuju mein raegan ek pal na ho

zehn khali ho gae hain waqt ke ehsas se
samne wo masala rakh jis ka koi hal na ho

sab ke hi sinon mein hai phaila hua sanson ka habs
koi shahr aisa nahin jis ki faza bojhal na ho

log akasr apne chehre par chadha lete hain khol
tu jise sona samajhta hai kahin pital na ho

justuju us ped ki kyun ho ki jo saya na de
hath us dali pe kya pahunche ki jis par phal na ho

roz-o-shab lagta rahe sochon ka mela zehn mein
shor se khali kabhi ehsas ka jangal na ho

garm kar 'sajid' lahu ko dhimi dhimi aanch se
waqt se pahle tere jazbaat mein halchal na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close