phenke hue be-kar khilaune ki tarah hun

phenke hue be-kar khilaune ki tarah hun
main bagh ke ujde hue goshe ki tarah hun

tu dil mein utarti hui khushbu ki tarah hai
main jism se utre hue kapde ki tarah hun

kuchh aur bhi din mujh ko samajhne mein lagenge
main khwab mein dekhe hue raste ki tarah hun

saya sa ye kis chiz ka hai mere watan par
main kyun kisi sahme hue qisse ki tarah hun

main man hun satai hui had darja bahu ki
aur bete pe aae hue ghusse ki tarah hun

ho jaen kabhi ja ke wahin sindh kinare
baaten koi do chaar jo pahle ki tarah hun

ab to kisi mahkar ki yaadon ka safar hai
aur main kisi bhule hue qisse ki tarah hun

jis mein koi dar hai na daricha na makin hai
us ghar pe lagae hue pahre ki tarah hun

kya hogi talafi mere nuqsan ki 'akhtar'
main qaid mein guzre hue arse ki tarah hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close