sirf un ke kuche mein jaan bichha ke chalte hain

sirf un ke kuche mein jaan bichha ke chalte hain
warna chahne wale sar utha ke chalte hain

kya gunah hua un se kyun teri gali ke log
apne ghar ke andar bhi munh chhupa ke chalte hain

han khuda bhi ho shayad koi apni basti ka
hukm us jagah sare nakhuda ke chalte hain

zakhm bhi nahin lagte khun bhi nahin bahta
tir us ki mahfil mein kis bala ke chalte hain

sham ko unhen 'akhtar' gulistan mein dekhenge
jab wo apni zulfon mein dil saja ke chalte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close