phenki kisi ne kankari dil yak-ba-yak dariya hua

phenki kisi ne kankari dil yak-ba-yak dariya hua
dariya mein ek sailab tha sailab tha umda hua

dil mein koi aazar tha wo mujh se yun goya hua
aazurda-e-tasir hun dil de diya achchha hua

gahe ba-rang-e-mehrban gahe khayal-e-bad-guman
wo bhi to aakhir phul hai kanton mein hai uljha hua

is tarah chashm-e-nim-wa ghafil bhi thi bedar bhi
jaise nasha ho raat ka ya subh ka tadka hua

lutf-e-nazar wo shai lagi jo jis qadar thi ajnabi
rasta na tha jaana hua chehra na tha dekha hua

ai khatir-e-mehr-ashna us ke talawwun par na ja
ye be-rukhi thi ek ada wo sarw tha sidha hua

wo ilm ho ya shairi wo faqr ho ya sarwari
hum jis qadar jhukte gae qad aur bhi uncha hua

jang-o-jadal ke waste aakhir bade kyun aa gae
bazicha-e-atfal tha jhagda koi jhagda hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close