taqat-e-sabr tere be-sar-o-saman mein nahin istaqamat use is aalam-e-imkan mein nahin dhundhta kya hai use ja ke idhar aur udhar kya tere dil mein nahin dida-e-hairan mein nahin kya kahun aah main tashbih nahin de sakta koi gul zakhm-e-jigar sa to gulistan mein nahin tham sakte hi nahin khar-e-bayaban mujh ko tar baqi koi ab to mere daman mein nahin le gaya jazb-e-dil-e-zar sanam tak un ko ek lasha bhi yahan gor-e-ghariban mein nahin dekh to chir ke pahlu mein dikha deta hun juz gham-e-yar koi is dil-e-viran mein nahin nau-giraftar-e-mohabbat hun yahi bais hai naghma-zan mujh sa koi murgh gulistan mein nahin halqa-e-chashm mein zanjir ke in aaza mein aisi kahidgi aai ki jo mizhgan mein nahin dekh kar us lab-e-rangin ko 'jamila' ne kaha jo damak is mein hai wo lal-e-badakhshan mein nahin