pher dete hain ruKH wo tufan ka

pher dete hain rukh wo tufan ka
kyon sahaara na lun main daman ka

tere aane se aa gai hai bahaar
bakht jaga hai shahr-e-viran ka

jaan-o-dil us ki did ke mushtaq
wahi mahbub hai dil-o-jaan ka

jis ke bande qaza mein udte hain
main bhi hun banda us sulaiman ka

us ka chehra dikha raha hai hamein
sara manzar hi ek gulistan ka

kaisi iqlim mein muqim hain hum
aadmi wan na ja sake yan ka

us ke mahzar main kya bayan karun
wo to bina hai haal-e-pinhan ka

jis ko dala tha qaid mein 'sabir'
shahzada tha wo to iran ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close