pher len aankhen murawwat dekhna apni ulfat dekhna meri mohabbat dekhna do hi din mein kya se kya tum ho gae aaine mein apni surat dekhna dhundhne par bhi nishan milta nahin mar mitun ki shan-e-ghurbat dekhna aah se dar-parda us ko lag hai aaine ki ye kudurat dekhna dad mahjuri ki phir hai justuju de na dhoka apni qismat dekhna tauba karna to bahut aasan hai phir badal jaegi niyyat dekhna manzil-e-duniya nahin aaram-gah hai abhi roz-e-qayamat dekhna kar le o saffak har jaur-o-jafa rah na jae koi hasrat dekhna kabe se but-khana mein aa hi gae khinch lai 'shauq' qismat dekhna