raaz kahan tak raaz rahega manzar-e-am pe aaega ji ka dagh ujagar ho kar suraj ko sharmaega shahron ko viran karega apni aanch ki tezi se viranon mein mast albele wahshi phul khilaega han yahi shakhs gudaz aur nazuk honton par muskan liye ai dil apne hath lagate patthar ka ban jaega dida o dil ne dard ki apne baat bhi ki to kis se ki wo to dard ka bani thahra wo kya dard bataega tera nur zuhur salamat ek din tujh par mah-e-tamam chand-nagar ka rahne wala chand-nagar likh jaega