phir aagahi se yaqin ki taraf qadam nikle

phir aagahi se yaqin ki taraf qadam nikle
guman-o-waham ki jab sarhadon se hum nikle

phir iztirab ki lazzat kahan visal ke baad
khuda kare ki ba-waqt-e-visal dam nikle

main sach kahun to meri khamushi na kahne de
wo jhut bole to be-sakhta qasam nikle

chhupa ke hum ne rakhe but jab aastinon mein
sanam-kada bhi na phir kyon tah-e-haram nikle

wo kashmakash mein rahe maslahat ki nazr hue
jo log apni sharafat mein ghar se kam nikle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close