qadmon ke nishan sab mand paDe jo sang-e-mil tha TuT gaya

qadmon ke nishan sab mand pade jo sang-e-mil tha tut gaya
kuchh manzil mujh se chhut gai kuchh manzil se main chhut gaya

chehre ki masumi thi ya jalwon ka roab tha haibat thi
baithe the rup-singar ko wo aur aaina gir kar tut gaya

ab aap akele shahr mein hain kya mujh se pagal log nahin
ek meri qismat phuti thi kya sab ka muqaddar phut gaya

tariki phailne wali hai suraj ko sanbhaal ke rakhiyega
diwar pe sae bikhre hain jo dhup ka rang tha chhut gaya

is husn-o-shabab pe jitna bhi ho naz-o-ghurur hai kam lekin
sab jhute the kab sach bole kuchh main bhi kah kar jhut gaya

rahbar to na tha rahzan bhi na tha kya us ke taaruf mein bolun
ya be-sar-o-saman main hi tha ya jo kuchh tha wo lut gaya

ek gandumi rang ka chehra tha aur phul shagufa lagta tha
palkon ko 'adim' wo thes lagi guldasta khwab ka tut gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close