phir aaya jam-ba-kaf gul-ezar ai waiz shikast-e-tauba ki phir hai bahaar ai waiz na jaan mujh ko tu mukhtar sakht hun majbur nahin hai dil pe mera ikhtiyar ai waiz anar-e-khuld ko tu rakh ke hain pasand hamein kuchen wo yar ki rashk-e-anar ai waiz usi ki kakul pur-pech ki qasam hai mujhe ki tere waz hain sab pechdar ai waiz hamare dard ko kya jaane tu ki tujh ko hai na dard-e-yar na dard-e-dayar ai waiz kiya jo zikr-e-qayamat ye kya qayamat ki ki yaad aaya mujhe qad-e-yar ai waiz bhulaega na kabhi yaad-e-gul-rukhan 'ehsan' koi wo samjhe hai samjha hazar ai waiz