shayad rukh-e-hayat se sarke naqab aur bhar do mere subu mein sharab-e-gulab aur hogi mere subu se numud-e-hazar-subh ubhrenge is ufuq se abhi aaftab aur aati hai ku-e-dar-o-rasan se sada hanuz aae idhar jo hai koi khana-kharab aur makhmur-e-bu-e-zulf na aaenge hosh mein chhidke abhi nasim-e-bahaaran gulab aur ai warisan-e-satwat-parwez hoshiyar daman-e-waqt mein hain abhi inqalab aur aai 'zafar' jo raat zaban par hadis-e-dost nagah badh gai mere jauhar ki aab aur