phir bahaar aai mere sayyaad ko parwa nahin ud ke main pahunchun chaman mein kya karun par wa nahin ji jala kar ek bosa mangte hain bar se aage ya qismat wo dekhen han kare hai ya nahin hasrat o hirman o yas o hairat ranj o tab kya kahun is hijr mein kya kya hai aur kya kya nahin har kisi se lag chale kya zikr hai imkan kya hum use pahchante hain khub wo aisa nahin chaar unsur ki ghazal 'rangin' kaho tum dusri hai qasam tum ko ali-ji ki ye mat kahna nahin