phir bahana koi banaya gaya shakh se aashiyan giraya gaya apne aangan mein raushni ke liye zard patton ko aazmaya gaya qurbat-e-aftab badhti gai jal uthe panw sar se saya gaya dar-ba-dar kar diya parindon ko kat kar ped ghar banaya gaya khak ne khak tak pahunchna tha umr bhar rasta dikhaya gaya zindagi kab guzarne wali thi naqsh diwar par banaya gaya raushni phutne lagi 'asim' shiddat-e-gham mein gungunaya gaya