safar hai rasta hai aur main hun purana masala hai aur main hun shikar ab kaun hoga dekhte hain shajar par fakhta hai aur mein hun mujhe taswir se bahar nikalo musalsal ratjaga hai aur main hun musafir bhi hun mir-e-karwan bhi adhura qafila hai aur main hun teri taswir banti ja rahi hai muqabil aaina hai aur main hun